Pehle Nazrana-E-Khuda Kahaa Or Phir Badnaam Kiya,
Lamhon Ke Taane Baane Ko Kissne Zindgi Ka Naam Diya
Ek Bojh Tamanaon Ka Or Uss Per Ek Pet Ka Bojh,
Bas Umar Bhar Do Waqt Ki Bhukh Ka Intzaam Kiya
Lamhon Ke Taane Baane Ko Kissne Zindgi Ka Naam Diya
Ek Katra Zindgi Ke Katre Katre Me Maut
Hum Kehte Hai Berbaad Kiya,Wo Kehte Hain Ehsaan Kiya
Lamhon Ke Taane Baane Ko Kissne Zindgi Ka Naam Diya,
Shahron Se Chale Insaan To Jangle Tak Bas Gaye
Wo Kehte Hain Aabaad Kiya,Hum Kehte Hain Veeraan Kiya
Lamhon Ke Taane Baane Ko Kissne Zindgi Ka Naam Diya
Wo Kehte Hain Jamaane Me Akhiri Din,Qayaamat Ka Din
Intzaar Qayaamat Ka Humne,Her Sahar Kiya Her Shaam Kiya
Lamhon Ke Taane Baane Ko Kissne Zindgi Ka Naam Diya
Hum Zindgi Ke Chere Se Mukhatib Hue Kuch Iss Kadar
Jab Jab Tumne Zindgi Kaha,Humne Isse Maut Ka Naam Diya
Hum Kehte Hain Berbaad Kiya,Wo Kehte Hain Ehsaan Kiya,
Lamhon Ke Taane Baane Ko Kissne Zindgi Ka Naam Diya,