Pata Nahin Wo Kaun Thaa? Jo Mere Haath
Motiye Ki Daal, Pankh Mor Ka Thama Ke Chal Diya
Pata Nahin Wo Kaun Thaa
Hawa Ke Jhonke Ki Tarah Jo Aaya Aur Guzar Gaya
Nazar Ko Rang,Dil Ko Nikehto Ke Dukh Se Bhar Gaya
Main Kaun Hu? Guzarne Wala Kaun Thaa?
Yeh Phul Pankh Kya Hain, Kyun Mile?
Yeh Sochte Hi Sochte,Tamam Rang Ek Rang Mein Utar Gaye
Tamam Nikehtein Idhar Udhar Bikhar Gayi Khalaon Mein
Yaqeen Hai Nahin Nahin Gumaan Hai
Wo Koi Mera Dushman-E-Qadeem Thaa
Dikha Ke Jo Saraab, Meri Pyaas Aur Badha Gaya
Main Behisab Aarzuon Ka Shikar
Inteha-E-Shauq Mein Fareb Uska Kha Gaya
Gumaan Hai Nahin Nahin Yaqeen Hai
Wo Koi Mera Dost Thaa Jo Do Ghadi Ke Hi Waste Hi Kyun Na Ho
Nazar Ko Rang, Dil Ko Nikehton Se Bhar Gaya
Pata Nahin Kidhar Gaya
Main Usko Dhundta Hua Tamaam Kayenaat Mein