Nazar Apne Pyaar Ko Dhoond Ta Hai,
Bequarar Rehta Hai Ek Nazar Dekhne Apne Yaar Ko.
Aaj Bhi Meri Nazar Kuch Aisi Hi Hai,
Bechain Hai Meri Nazar Pane Apne Pyaar Ko.
Ashko Ke Sahare Nikali Hai Zindgani Humne,
Par Aaj Bhi Zinda Hun Tere Hi Intazar Mein.
Afsos To Iss Baat Ka Hai Ki Dil Diya Bhi Tumne,
Aur Ji Rahe Ho Tum Bhi Gum-E-Gulzar Mein.
Mohabbat Thi Aap Ko Jisse Wo H Pyaar Aap Ko Na Mili
Jo Chaah Meri Thi Wo H Dil-E-Quarar Mujhe Kabhi Na Mili.
Mili To Bas Ruswayee Thi, Wahi Gum-E-Tanhayee Thi.
Wahi Rona Tha, Jo Aaj Aap Ke Paas Aayi Bhi.
Hum Aap Ko Yun Ghootte Na Dekh Sakenge,
Chaho To Bhi Aap Uske Na Ho Sakenge,
Iss Dukh Ko Leke Tumko Iss Tarah Jine Na Doonga,
Itna Kiya Hai Intazar, Kuch Pal Aur Intazar Karoonga.
Dil Ko Dard Hua Tha, Jab Aap Ne Bataya. Ki
Aap Kisise Mohabbat Karte Hain.
Dil Aaj Bhi Khush Nahi Hai, Halat Ki Wajah Se
Aaj Ek Doosre Ko **** Sakte Hain.
Ek Guzarish Tumse Mein Karna Chahta Hun,
Tumhe Haste Huye Mein Dekhna Chahta Hun.
Janta Hun Mere Bagair Bhi Tum Jee Sakoge.
Par Wada Karo, Ki Unn Pal Ko Yaad Nahi Karoge.
E-Mohabbat Meri,
Aaj Bhi Meri Chahat Mein Kami Nahi Hai.
Meri Liye Jo Kal Thi, Tu Aaj Bhi Wahi Hai.
Farq Bas Hai Itna, Jo Kal Tha Guzra Mujh Par.
Wo H Aaj Tujh Par Guzar Rahi Hai.
Ye Na Soch Lena Ki Mein Gum-E-Ehsaas Dila Raha Hun,
Sach Jo Hai Aaj Tak Wahi Bata Raha Hun.
Lage Bura Agar To Mafi Zaroor Dena.
Iss Nachiz Ko Bhi Mohabbat Dikhane Ka Mauka Zaroor Dena.