Naye Saal Ka Matlab Naya Saal Ho
Bhula Do Ranjish Jo Kuch Dil Main Ho
Kaashmeer Se Kanyakumari Tak Hai Tamnna
Sahi Maayeno.N Main Ek Bharat Ho
Hindu Ho Musalmaan Ya Sikh Isaayee
Her Ek Aapas Main Bhai Bhai Ho
Na Ho Godhra Ka Ab Koi Waqiya
Na Gujrat Ka Phir Wo Manzar Hi Ho
Na Bhuka Soye Koi Watan Main Hamare
Na Mazlum Pe Kisi Ab Koi Zulm Ho
Wadiye Kashmir Main Na Ho Koi Jaan Bahaq
Na Sipaahi Desh Kaa Koi Shaheed Ho
Khunrezi Ka Khel Bahut Dekha Hum Ne
Khun Se Likha Na Koi Akhbaar Ho
Taraaqi Pasand Hum To Taraqqi Kareinge
Lekin Jism Ki Ab Na Numaaish Ho
Tehzzeb Apni Na Bhulayein Kabhi Hum
Maghribi Tehzzeb Ab Farar Ho
Zyada Nahin To Itna Karein Hum
Hata Dein Woh Paththar Jo Raah Main Ho
Khuda Se Dua Hai Na Ho Qahar Naazil,
Na Koi Zalzala No Koi Toofaan Ho
Maut Her Shakl Main Rahe Ddor Hum Se
Rail Haadse Main Na Hawa Main Hi Ho
Iqbal Ne Kaha Jo Ho Jaaye Woh Sach
Saare Jahan Se Achcha Hindostaan Ho
Dil Main Tamanna Phir Ek Baar Apne
Bees Saal Baad World Cup Apna Hi Ho
Kaamyaabi Ki Khwahish Aur Hai Dil Main
‘Adil’Aur Her Dost Barsare Rozgaar Ho