Najaane Kaun Si Khata Ki Sazaa Paayee Hai
Ye Jo Kismat Main Azal Say Lik’hee Tanhayee Hai
Mojhay To Khood Say Ziyaada Hai Aitmaad Uss Pay
Ye Kaisay Maan Loon Sanam Meraa Harjaayee Hai
Ab Uss Kay Dill Main Ch’opee Baat Bhee Parh Laitaa Hoon
Aik Moddat Say Unn Aank’hoon Say Shanaasayee Hai
Samajh Sakaa Hai Kaun Fitrat-E-Zan Aaj Talak
Uss Kee Aawaaz Main Siskee Hai Ya Shehnaayee Hai
Dasht-E-Ulfat Main Kadam Soch Kay Rak’hnaa Abeera
Keh Iss Dayaar Kee Soghaat Hee Jodayee Hai