Nach Ae Nertaki
Nach Un Ke Leay
Jo Judai Ke Sadme Mein Hein
Jin Ki Sansoon Ki Dehliz Per
Un Ke Jismoon Ke Mahtab Gehena Gye
Jo Pur-Srar Khaish Ki Biloon Ku Chhote Hi Puthra Gyii
Jo Jawanioon Ke Shehr Mein
Tunhaioon Ku Pehen Ker Niklti Hein
Or Jubilet Ke Tehwar Peh Nachti Hein
Tere Leh-Laha-Te Badan Ki Temooj Se
Raat Din Cherhte Aturte Hein
Salamat Rehain Yeh Tere Nert-Bhauoo
Keh Hum Moot Ke Tabooun Se Zamanoon Main Sakit Hein
Or Terii Aankhhoon Mein Khhoya Hwa
Apna Pechhala Janam Dhondte Hein
Tarap Ae Ner Taki
Mud-Bhari Kamnii Pedmnii
Jism Mein Lahoo Ke Phherphhrate Prinde Ke Per Khhol
Keh Regein Khhinch Ke Tarin Banin
Aik Ek Ang Tere Rung Mein Doob Jaeay
Poroon Se Teri Lazat Ke Jhherne Bhehin
Maaoon Kii Chhatioon Se Letr Lams Ka Cheshma Phhote
Bache Janam Dr Janam Des Per-Des
Tere Paoon Kii Titlioon Ke Ta-Equb Mein Bhatak-Te Rahin