Naa Jana Hain Sanam Ko Tune Naa Jan Payega Kabhi
Iss Zinadagi Ke Aur Husn Ke Khel Main,
Haath Mujhe Mangne Ke Liye Uthayega Kabhi
Der Ho Chuki Hogi Musafir Tab Tak,
Sanam Ho Chuki Hogi Kisi Aur Ke Hawale Tab Tak,
Reh Jayengi Cheekhe Beshumar
Jalte Hue Dil Hazaar Kaanp Uthengi Hasratein Teri Phir Aik Baar.
Iss Duniya Kaa Darr Naa Hota Mujhe,
To Mita Dete Har Us Shaks Kaa Naam,
Jo Dekhta Hain Hasraton Kii Nazar Se Tujhe
Aur Karta Hain Ishq Ko Badnaam.
Meri Taqdeer Bahot Unchi Banayi Hain Khuda Ne
Tere Liye Lekin Sanam Ne Thukrayi Hain
Beshumar Daulatein ,Beshumar Mohabbatein,
Beshumar Hasratien Kisi Aur Ki Tere Liye
Woh Chand Lamhe Jo Hamne ,
Guzar Liye The Kabhi Jo Yaad Hain Tujhe
Tujhse Dur Jakar Bhi Khush Hii Hun Main
Kyun Bula Leta Hai Bas Aik,
Aawaz Se Har Baar Mujhe
Likhti Hai Sanam Shayri ,
Jab Dard Had Se Guzar Jata Hain
Neend Main,Khwabon Main ,
Kisi Ke Saamne Bhii Yunhi,
Sirf Tera Naam Labon Pe Aa Jata Hain
Layak Hote Tum Agar Sanam Ke,
To Aaj Khush Hote Hum
Apni Badnassebi Hi Kahen Kya
Jo Dil Main Bas Gaye Ho Tum
Kahan Tak Dikhti Hain Manzilein
Kisi Musafir Ko,Kaun Jane.
Kab Tak Rehti Hai Dilon Main
Mohabbatein Jawan Aajkal Kaun Jane
Yeh Meri Bad-Dimagi To Nahin Kahin,
Jisko Har Baar Shak Ne Ghera Hain
Fikr Kisko Hai Zamane Ki Gar Tu Hai Saamne
Har Amavas Ke Baad Tere Ishq Ka Savera Hain
Isi Ke Saath ‘Sanam’ Vida Leti Hain
Yakeen Aaj Bhii Utna Hi Tujhpar Karti Hain…
Zindagi Ki Ladayi Main Tu Hi Jeetega Aik Din,
Itna Bharosa Woh Apne Khuda Pe Rakhti Hain…
Maaf Karna Mujhe Chahne Walon,
‘Sanam’ Ke Bas Main Nahin Hain Mohabbat Karna…
Woh Zamane Kii Liye,Hothon Pe Jhoothi Hansi,
Aur Dil Main Dard Liye Firti Hain…
Iss Dard Ko Raahat Magar Sirf Usi Se Milti Hain
Isliye Sanam Se Na Koi Umeed Karna
Ishq Main Insaan Bekaar Ho Jata Hain
Jalan Hoti Hain Dil Main Kahin Tera Aks Dekh Kar…
Aur Phir Chupa Pyar Lafzon Main Bayaan Ho Jata Hain.