Na Tujhe Hee Raha Yaad Maine Bhee Bhula Diya
Too Hee Kah De Kaise Ban Sakta Tha Phir Yadgar
Mere Pyar Ka Woh Pur Sukoon Junoon
Tera Shabnam Ke Katre Sa Woh Masoom Pyar
Rahne De Zid Mujhe Main Koyee Shahjahan Talash Na Kar
Mere Kadmon Ke Naksh Sahil Kee Ret Par Bakaya To Hain
In Ko Sizda Na Kar Ibadat Se Inka Rishta Naheen Hai
Inke Peeche Gayee Too To Milegee Bas Ek Bhatkan
Too Jan Le Meree Rahguzar Kisee Manzil Se Wabasta Naheen Hai
Rahne De Zid Mujhe Main Koyee Shahjahan Talash Na Kar
Too Bahut Udas Hai Mujh Ko Kho Kar Maine Mana
Meree Hokar Bhee Soch To Yahan Kya Badal Jata
Meree Bastee Main Zindgee Kuch Yoon Jeete Hain Log
Tera Pyar Khudkashi Karta Tera Husn Dhal Jata
Rahne De Zid Mujhe Main Koyee Shahjahan Talash Na Kar
Aj Teree Palkon Pe Mera Kajal To Nazar Ata Hai
Tab Shayad Tere Khayalon Main Mera Aks Bhee Na Rahata
To Mujhse Is Andaz Main Miltee Ki Kho Jatee Mujhse
Tere Wazood Pe Kaheen Mera Naksh Bhee Na Rahata
Rahne De Zid Mujhe Main Koyee Shahjahan Talash Na Kar
Ek Udasee Se Palkon Pe Ansoon Kab Thaharte Hain
Ek Gam Ke Sawan Se Ankhon Main Badal Naheen Bante
Sahil Kee Ret Par Kuch Gharonde Banaye Hamne Kafee Hai
Sahil Kee Ret Se Kabhee Taj Mahal Naheen Bante
Rahne De Zid Mujhe Main Koyee Shahjahan Talash Na Kar
Udas Kyon Hai Tujhe Koyee Taj Mahal Na Somp Saka
Pyar Kewal Yadgar Ho Jaye Kafee Naheen
Khusboo Kee Tarah Har Taraf Faile To Pyar Kahiye
Tere Gesoo Orh Ke Agar So Jaye Kafee Naheen
Rahne De Zid Mujhe Main Koyee Shahjahan Talash Na Kar
Taj Mahal Kaya Hai Ek Shanshah Ka Junoon
Tera Aur Mera Is Junoon Main Koyee Hissa Naheen Hai
Kal Zinadgee Kaya Thee Ek Kahanee Thee
Aj Hayat Hayat Hai Koyee Kissa Naheen Hai
Rahne De Zid Mujhe Main Koyee Shahjahan Talash Na Kar
Too Kisee Aur Kee Anjuman Main Hai Hai To Sahee
Too Kisee Aur Kee Nazar Main Hai Hai To Sahee
Tajmahal Main Naheen To Na Sahee Itna Hee Bahut Hai
Too Kisee Ghar Main Hai Hai To Sahee
Rahne De Zid Mujhe Main Koyee Shahjahan Talash Na Kar
Tujhe Ek Imarat Naseeb Ho Gayee Warna
Yahan Woh Bhee Jee Rahe Hain Jinhe Ghar Naheen Milta
Too Game Zindgee Se Ghabra Ke Chahe To Mar Bhee Saktee Hai
Yahan Woh Bhee Jee Rahe Hain Jinhe Zahar Naheen Milta
Rahne De Zid Mujhe Main Koyee Shahjahan Talash Na Kar
Tajmahal Ek Kafas(Pinzara) Hai Tera Ghar Tera Nigehban
Phir Kis Khayal Main Kho Gayee Too Kis Liye Mayoos Hai
Too Yahan Kaid Naheen Mumtaz Kee Rooh Ki Manind
Too Yaha Rahtee Hai Too Yahan Mahfoos(Safe) Hai
Rahne De Zid Mujhe Main Koyee Shahjahan Talash Na Kar
Muhabbat Yadgar Hai Ki Naheen Sochne Ka Waqt Kahan
Aj Mahfoos Hona Hee Masala E Hayat Hai
Mian Naheen Tere Hamrah To Kya Itna Hee Bahut Hai
Koyee Tere Sath Hai Too Kisee Ke Sath Hai