Har lamhaa maine teri yaad mein bitaayaa

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (1 votes, average: 5.00 out of 5)
Loading...
Shared by : On :

Har Lamhaa Maine Teri Yaad Mein Bitaayaa Hai,
Par Tune Meri Yaad Ko Apne Dil Se Mitayaa Hai…
Eh Kaash Bhool Jaaun Magar Bhooltaa Nahi,
Kis Wafaa Se Tune Bewafaayi Ko Nibhayaa Hai…
Khataa Thi Meri Jo Tujh Par Aitbaar Kiya,
Tune Keh Ke Amrit Mujhko Zehar Pilaayaa Hai…
Dekha Hai Maine Dum Todte Mohabbat Ko Apni,
Apne Kaandho Pe Janaza Mohabbat Ka Uthaya Hai…
Tere Hisse Mein Aayin Hain Khushiyan Saari,
Maine Karke Mohabbat Sab Kuch Ganwaayaa Hai…
Kuch Yoon Ishq Ki Keemat Chukaayi Hai Maine,
Kabhi Khud Jalaa, Kabhi Dil Apna Jalaayaa Hai…
Yoon Ton Naa Tha Shayri Ka Koi Shok Mujhe,
Tere Diye Dard Ne Jas Ko Shayar Banaayaa Hai…