Na Jane Kyun Jindgi Ka Koi Thikana Nahi Hai,
Jo Chalti Ja Rahi Hai Jindgi Uska Koi Nishana Nahi Hai,
Khud Ko De Dosh Ya Ilzam Lagaye Kisi Par
Par Sach Hai Ki Jis Kishti Pe Hum Baithe Uska Koi Kinara Nahi Hai

Ab Shayad Kya Kahe Aur Kisse Kahe
Jo Socha Tha Kehne Ke Liye Us Bat Ka To Koi Afsana Nahi Hai
Abhi Isi Waqt Tha Jaga Tha Arman Is Dil Main Phir Jeene Ka
Par In Aankhon Main Chehra Kisi Aur Ka Aata Nahi Hai
Jindgi Ki Dehleez Wo Aa Gayi Hai Ab
Ki Atim Safar Pe Jaana Hai Mujh Ko
Par Chaha Tha Jis Khande Pe Jaye Hum
Na Jane Kyun Usi Kandhe Ka Sahara Nahi Hai