Na Jane Kaisa Pathar-Dil Insaan Tha
Wojiske Dil Pe Meri Mohabbat Ka Ek
Katra Bhi Asar Hua Nahi
Na Jane Kaisa Insaan Tha Wo
Mere Aankhon Ke Aasuon Ka Asar Uspe
Hua Hi Nahimein Roti-2 Rahi Zaar-2
Uske Saamnepar Use To Fikar Hua Hi Nahi
Na Jane Kaisa Insaan Tha Wo
Mein Uske Liye Duniyaan Se Ladti Rahi
Par Ye To Kabhi Socha Hi Nahi Ki Wo
To Mere Saath Khada Bhi Nahi
Na Jane Kaisa Insaan Tha Wo
Mein Uske Bewafai Ki Dhoop Mein Jalti
Rahi Par Uspe To Meri Wafa Ki Baarish
Tak Ka Asar Hua Hi Nahi
Na Jane Kaisa Insaan Tha Wo
Mein To Uske Ehsaas Bhar Se Kaanp
Uthti Par Uspe To Meri Chuan Tak Ka
Bhi Asar Hua Hi Nahi
Na Jane Kaisa Insaan Tha Wo
Maine Uski Khushiyon Ke Liye Hazaar
Manate Maang Li Par Uski Kisi Dua
Mein Mera Zikar To Hua Bhi Nahi
Na Jane Kaisa Insaan Tha Wo
Maine Uske Liye Sab Rishte Todti
Chali Gayi Par Wo Mere Siwa Kisi Aur
Ke Rishte Se Paraya Hua Hi Nahi
Na Jane Kaisa Insaan Tha Wo
Use Chodne Se Lekar Aaj Tak Mein Use
Khud Se Alag Nahi Kar Paayi Par Uss
Bedard Ko To Koi Faraq Pada Bhi Nahi
Use To Aisa Laga Jaise Usne Hamari Iss
Kahani Ko Kabhi Pada Hi Nahi
Na Jane Kaisa Insaan Tha Wo
Ham Use Khuda Ki Tarah Chahte Rahe Bepanah
Par Sach To Ye Hai Dosto Wo Bedard To
Aaj Tak Mera Kabhi Hua Hi Nahi
Na Jane Kaisa Pathar Dil Insaan Tha Wo