Murda Jee Utha” Kal Ek Khabar Ayi Akhbaar Mein
Seham Gaye Sare Sathi,Jo Aye Akhiri Sanskar Mein
Jor Se Chillaya Wo Uthker “Nahi Jalao Abhi Mujhe”
Baki Hai Kuch Kaam Adhoorey Jo Lauta Hoon Sansaar Mein

Sawalon Se Bhari Nigahey,Batey Kerti Ek Dooje Se
“Sarkar Badalne”Se Usool Bhi Badley Khuda Ke Darbaar Mein?
Akhir Poocha Ek Bandey Nekaisa Mehsoos Hota Yara?
Hanske Bola”Jinda-Murda” “Jaise Mantri Ban Gaya Sarkar Mein”
Hum Bhi Lagey Sochney Ki Kaisi Kismat Isne Payi?
Ur Gaya Tha Jo Parinda Bikega Phir Bazar Mein
Duniya Ki Gehri Chalon Se To Azadi Behtar Thi
Jahan Na Thi Bandish Koi Aur Na Tha Dhokha Pyar Mein
Khane Hongey Aur Tamachey Abhi Badkismat Hathon Se
Isliye Sona”Jee Utha Murda”Jo Aya Ghar-Baar Mein