Munna Shahar Se Mausam Kee Khabar Laya Hain
Kahata Hain Garmee Main Iss Baar Sarken Pighal Jayengee
Sooraj Ko Sahte Sahte Tarkol Pareshan Ho Gaya Hain
Us Kaa Ab Rodi Chhod Ke Kinaron Pe Bah Jana
Matr Ekk Ghatna Hain Koyee Ashcharya Nahee Hain
Munna Jhooth Nahee Kahata
Garmee Ab Pahale Se Adhik Ho Gayee Hain
Ye Bhee Kahata Hain Munna
Sardi Main Iss Baar Bhawanayen Jam Jayengee
Sard Rat Se Thande Thande Chehre Honge
Aur Barf Ke Dhele See Pathrayee Ankhen
Phir Kaun Kis Se Rishta Banayega
Munna Jhooth Nahee Kahata
Sardee Ka Har Rang Chehron Pe Utar Jayega
Yah Bhee Khabar Hai Ki Sawan Main Iss Bar
Sawan Geet Nahee Gaye Jayenge
Sawan Main Is Baar Badal Angare Barsayenge
Yadi Nayano Kaa Neer Sookh Sakta Hai To
Badlon Par Arop Kaisa
Sawan Main Kuch Barasna To Awashayak Hai
Iss Baar Angare Hee Sahee
Ye Bhee Kaha Hai Munna Ne
Vasant Main Charon Taraf Dard Ke Phool Khilenge
Gamalon Main Kisee En Zakhmon Kee Kalam Laga Dee Thee
To Gulab Kahan Se Milenge
Isee Liye Basant Main Charo Taraf Bas Dard Ke Phool Khilenge
Aur Vasant To Kewal Phool Deta Hain
Pholon Ke Nam Nahee Deta
Main Maun Hoon Naa Mausam Kee Prateeksha Hain
Naa Munna Kee Baton Se Pareshanee
Woh To Is Baar Munna Shahar Se Aya Hain
Warna Gayon Main Khabaren Nahee Bas Mausam Ate Hain
Har Baar Hame
Mausam Shahar Kee Khabar Deta Tha
Iss Baar Hame Shahar Ne Mausam Kee Khabar Dee Hain
Yah Bhee Kahata Hai Munna
Shayed Ye Antim Mausam Hoga
Munna Shahar Main Rahata Hai Theek Hee Kahata Hoga