Mujeh Tum Bahut Bhaye Ho Dost
Kaun Ho Kaha Se Aye Ho Dost
Kaha Se Talluk Rakhte Ho
Baccho Jaisa Haste Ho
Mujhe Bhala Batane Wale
Kis Basti Mai Baste Ho
Tumhare Baha Kya Zulm Nahi Hai
Yaha Kya Hota Hai Tumhe Ilm Nahi Hai
Yaha Aye Ho To Hosh Mai Raho
Zingdi Bhaang Ki Chilum Nahi Hai
Gar Tumhe Apni Kahani Chahiye
Dil Mai Aag Ankh Mai Pani Chahiye
Yaha Kamyaab Hone Ke Baste
Bahut Tarkeeben Aani Chahiye
Magar Suno Tum Bhole Ho Sadik Ho
Bahi Lena Zamane Se Jiska Tumhe Haq Ho
Pahle Khud Pe Fir Khuda Pe Bas
Yakeen Rahe Pal Bhar Na Shaq Ho
Janumanu Chahta Hai Tumhare Daman Mai
Tumharee Ghar Mai Tumhare Angan Main
Zor Badhe Kalam Ka Tumhari Mashoori Ho
Likhta Rahe Khawish Adhoori Nazm Poori Ho