Muejh Tum Yaad Aatey Ho
Kisi Sunsaan Saapney Mein Chupi Khwaish Ki Hiddut Mein
Kisi Masroofiyut Ke Maur Per
Tunhayi Ke Sehra-‘oon Mein
Ya Phir Kisi Anjaan Beemari Ki Shidut Mein
Mujeh Tum Yaad Aatey Ho
Kisi Bichurey Howey Ki Chashum Pur Num Ke Nazare Per
Kisi Beetey Howey Din Ki Thakaan Ki Aaut Se
Ya Phir Tumharey Ziker Mein Goondhi Howi Shub Ke Ishaaron Per
Kisi Ki Ba Ronuq Saruk Per
Aur Kisi Durya -Ë— Kisi Weeraan Jungle K Kinare Per
Mujeh Tum Yaad Aatey Ho
Meri Chup Ke Kunwayein Mein
Arzowoon Ke Badun Jub Tere Howe
Aur Kinaroon Se Koyi Booley
Tao Lugt Ahai Ujul Awaaz Deyti Hai
Meri Beycheniyoon Mein Jub Tumahri Tundh Khoor Bukhsh Khutukti Hai
Tumahri Bey Sabub Doori Sulugti Hai
Ya Phir Jub Bhi Meri Ankhoon K Sehra-‘on Mein
Tumahri Yaad Ki Tasweer Julti Hai -Ë— Judayi Haath Multi Hai
Mujeh Tum Yaad Aatey Ho
Mujeh Tum Se Yaad Aate Ho
Muqadur Ke Sitaroon Per
Zamaanon Ke Isharoon Per
Udaasi Ke Kinaroon Per
Kabhi Weeraan Shehra-‘oon Per
Kabhi Sunsaan Rastoon Per
Kabhi Heraan Ankhoon Mein
Kabhi Bey Jaan Lumhoon Mein
Mujeh Tum Yaad Aatey Ho
Suhaani Shaam Ho Koyi
Kahein Bud Naam Ho Koyi
Bhaley Gul Faam Ho Koyi
Kisi K Naam Ho Koyi
Mujeh Tum Yaad Aatey Ho
Kahein Barish Burus Jaey
Kahein Sehra Taras Jaey
Kahein Kaali Ghata Utur Jaey
Kahein Baad-E-Saba Tehhurey
Tumarhe Aur Mere Durmiyaan Aaker Khuda Tehrey
Tao-‘ Meri Zindagi Ke Awul-O-Akhir
Tum Is Lumhey
Khuda Ke Baad Aatey Ho