Muddaton Baad Aaj Kuch Kushi Ka Waqt Aaya,
Zindagi Mein Yeh Pehla Zindagi Ka Waqt Aaya.
Har Ek Chehra Kuch Aur Hi Tarah Se Muskaaye,
*Chirag-E-Deed Mein Abb Roshni Ka Waqt Aaya.

Meri Dushman Rahi Kal Tak To Khusi Ki Kaliyan,
* Pahaad-E-Kaif Se Aab Dosti Ka Waqt Aaya.
Mere Ghar Har Kadam Pe Gunjta Tha Sannata,
Ussi Sannate Ki Abb Khudkashi Ka Waqt Aaya.
Mera * Hum-Saaya Harr Dukh Mein Tha Shamil Mere,
Woh Kahe “Mere Ghar Bhi Aarti Ka Waqt Aaya
Khoya Kya Hai Khayaalon Mein Kushi Ke Gaafil,
“Talib” Uth Behen Ki *Rukhsati Ka Waqt Aaya.