Mitti-E-Jism Hum Khaak Mein Milla Saktey Hai
Gham-E-Shab Ko Apna Tarjuma Bana Saktey Hai
Zakhm Kha Key Bhi Hum Khushi Ka Dikhawa Kartey Hai
Tum Kaho To Yeh
Raaz-E-Haq Hum Dil Mein Umar Bhar Chupa Saktey Hai
Janaza-E-Aarzoo Utha Tha Aashiyana-E-Ghum Sey Kabhi
Aaj Bhi Iska Bojh Hum Ney Utha Rakha Hai
Na Milli Kissi Sey Hosla Afzai Na Kiya Pasand Kissi Ney,
Magar Bandagi Pe Is Zindagi Ko Aaj Bhi Loota Rakha Hai
Kehkahey Goonjtey They Kabhi Is Dil Key Sheher Mein
Matam-E-Ishq Ki Aawaazon Sey Aaj Issey Saja Rakha Hai
Aur Kuch Kehna Nahi, Aur Kuch Sehna Nahi
Aatish-E-Dozakh Mein Mil Jaey Shayad Sukoon-E-Zindagi
Jannat-E-Bahar Mein Ab Mujhe Rehna Nahi