Meri Khidki Ke Samne
Ek Dareecha Khulta Hai
Shaam , Doopaher Aur Sawere
Ek Sawnla Sa Chehra Dikhta Hai
Chup Ker Biwi Ki Nazroon Se Akser
Khud Ko Wahan Khada Pata Hun Akser
Husn O Wafa Ka Paiker Hai
Haya 0 Tabassum Uska Gahna Hai
Duniyan Dari Mein Taq Hai Woh
Khanoon Mein Bhi Mashaaq Hai Woh
Halawat Hai Haleemi Hai
Sakhawat Hai Kareemi Hai
Ikhlaq, Tahzeeb Aur Tamaddun
Yeh Sare Dost Ahbab Hain Uske
Phir Mere Kia Majboori Hai
Jo Nazrain Khidki Per Rahti Hai
Han Yeh Baat Kuch
Kahne Mein Ajab See Lagti Hai
Mager Kuin Aakhir
Doosre Ki Biwi Achchee Lagti Hai