Mere Waqt Ne Mujhe Itna Mara
Na Jine Ka Koi Sahara
Jane Kahan Le Jayegi Manzil Mujhe
Tokharo Ne Badaya Hai Aaj Tak Mujhe
Bachpan Se Jawani Tak
Bas Paya Hai Dard Mene
Dard Ke Bina Lagti Hai
Zindagi Adhuri Mujhe
Pyar Bhi Agar Koi Kare Mujhse
Lagta Hai Mazak Bana Raha Hai Mujhe
Dard Mein Simat Gaya Hoon Itna
Najane Kyo Wahi Lagta Hai Ab Apna Mujhe
Ho Sakhe Toh Na Dekhna Prem Se Mujhe
Soch Ne Laga Hoon Hai Bas Dard Mere Liye
Pyar Nahi Chahata Kisi Se
Jo Hoon Woh Accha Lagne Laga Hai Mujhe
Jan Na Nahi Chahata Ki Dard Ke Siwa
Kuch Hota Hai Duniya Mein
Jese Ji Raha Hoon
Wese Hi Jina Hai Mujhe
Behal Leta Hoon
Dard Ki Seema Dekh Kar
Jaha Halka Hai Wahan Muskuraleta Hoon
Jaha Zyada Wahan Seh Leta Hoon Use
Dard Mein Rehna Ab Seek Liya Hai Mene
Marne Mein Bhi Dard Hi Dega Mitas Mujhe
Aakhir Gum Bhi Toh Ek Khushi Hai
Hoot Na Khilkar Hoti Hai Aankhien Num
Jevan Hai Mera Esa
Ji Raha Hoon Gum Mein Use