Mein Kya Hoon? Mein Yeh Janti Hoon
Aapne Aap Ko, Bhali Bhanti Pehchanti Hoon!
Yeh Naa Socho Kii Mein Anadi Hoon,
Kisi Naa Kisi Jagah Par,
Kahin Naa Kahin To,Zaroor Hii Mein Khiladi Hoon!
Anjaani Rahon Par Chalna To Meri Niyati Hain!
Aapne Aansoon Ke Beech Muskura Ke Jee Sakati Hoon
Yeh Meri Khusi Hain! Sochte Rehna ,
Apani Yaado Mein Tumhe Paana Yahi To Mohabbat Hai!
Mujhpar Hanste Ho, Us Waqt Shayad Bhool Jate Ho Kii
Tumhaare Hansi Kii Raaj Hoon Main
Tumhaare Sargam Kii Aawaj Hoon Main
Mein Woh Kar Sakti Hu Jo Tum Kar Naa Paao
Main Khood Ko Bhoolakar, Tumhe Hasati Hoon
Khoodi Ko Mitakar Tumhe Banaati Hoon
Tum Kya Jaano, Yehi Meri Mohabaat Hain
Mein To Woh Hawa Hoon
Jo Apne Sath Dero Khusboo Lati Hain!
Mein Wo Aandhi Hoon,
Jiske Aane Par Ghanghor Megh Bikharte Hain!
Mein Wo Phool Hoon
Jiske Liye Bahut Se Dil Taraste Hain!
Lekin Mein Kanta Bhii Hoon,
Dhyaan Se Masalna Mujhe,
Kahin Haaton Mein Chubh Naa Jau!
Magar Waqt, Unke Hathon Mein To Har Koi Khilona Hain!
Wo Jisse Bhii,Jab Bhii,Jaise Bhii, Chahe
Khelta Hai Masalta Hain!
Sutrdhaar To Jas Waqt Hii Hain!
Jo Har Kisi Ko Mutthi Mein Kaid Rakhta Hain!