Mein Jab Bhii Zindagii Kii Chil Chilati Dhoop Mein Tapkar
Mein Jab Bhii Doosron Ke Aur Apne Jhoot Se Thak Kar
Mein Sabse Ladke Khud Se Haarke
Jab Bhii Us Ekk Kamre Mein Jata Tha
Wo Halke Aur Ghehre Kathai Rangon Kaa Ik Kamra
Wo Behad Meharbaan Kamra Jo Apni Narm Muthi Mein Mujhe Aise Chupa Leta Tha
Jaise Koi Maa Bacche Ko Aanchal Mein Chupale Pyaar Se Daate
Yeh Kya Aadat Hain Jalti Dupahar Mein Maare Maare Ghoomte Ho Tum
Wo Kamra Yaad Aata Hain Dabeez* Aur Khasa Bhari
Kuch Zara Mushkil Se Khulne Wala
Wo Sheesham Kaa Darwaza Kii Jaise Koi Akkhad Baap
Apne Khurdure Seene Mein Shafaqt* Ke Samander Ko Chupaye Ho
Wo Kursi Aur Uske Saath Wo Judwa Behan Uski
Wo Donon Dost Thi Meri Wo Ik Gustaakh Muhfat Aaina
Jo Dil Ka Accha Tha Wo Behangum*Si Almari
Jo Kone Mein Khadi Ik Boodhi Anna* Kii Tarah
Aaine Kii Tanbeeh* Karti Thi Wo Ik Guldaan*
Nanha Sa Bahut Shaitaan Un Dono Pe Hasta Tha
Daricha* Ya Zahanat* Se Bhari Ik Muskrahat
Aur Dariche Pe Jhuki Wo Bail Koi Sabz* Sargoshi*
Kitaben Taak Mein Aur Shelf Par Sanjida Ustaani Bani Bhaitin
Magar Sab Muntazir* Is Baat Kii Main Unse Kuch Puchoon
Sirhane Neend Ki Saathi Thakan Kaa Charager*
Wo Narm Dil Takiya Main Jiski Goad Mein Sar Rakhke
Chhat Ko Dekhta Tha Chhat Kii Kariyon Mein
Naa Jaane Kitne Afsanon* Kii Kariyaan Thi
Wo Choti Mez Par Aur Saamne Deewar Par
Aawezaan* Tasveeren Mujhe Apnayeeyat Se Aur Yakeen Se Dekhti Thi
Muskrati Thin Unhein Shak Bhi Nahin Tha
Ek Din Main Unko Aise Chod Jayoonga
Main Ik Din Yun Bhii Jayoonga Kii Phir Wapas Naa Aayoonga
Main Ab Jis Ghar Mein Rehta Hoon Bahut Hii Khoobsurat Hai
Magar Aksar Yahan Khamosh Bhaitha Yaad Karta Hoon Wo Kamra Baat Karta Tha