Mehfilo Ke Mehmano Ko
Tanhaayi Ka Andaza Nahi Hota
Bheer Mein Gar Zindagi Chal Sakti
Khuda Ne Bande Koakelepan Se Navaza Nahi Hota
Sabke Hote Hue Bhikahi Na Kahi
Har Koi Akela Hai
Is Tanhayi Se Dosti Karle
Phir Tu Dekhna Yeh Tanhayi Nahi Guzare Palo Ka Mela Hai
Akela Rehna Aadat Nahi
Majboori Hoti Hai
Har Kareebi Rishtey Ki Buniyaad
Thodi Si Doori Hoti Hai
Gar Tanhayi Na Hoti Dharti Aakash Aaj Ek Hote
Phir Main Aur Tum Kyasuraj Chandrma Bhi Ek Kalpana Hote
Yeh Tanhayi Hi To Hai Jisne Kshitij Ko Ek Kalpana Banaya
Aur Har Insan Ko Khud Ki Zindagi Se Milaya