Marz Kuch Aisa Lage Mar Jaayen
Hum Tere Dahar Se Guzar Jaayen‚  (Dahar-–world)
Khu-E-Rindaa.N Mein Gar Jagah Na Mile
To Tere Maare Phir Kidhar Jaayen
(Khu-E-Rindaa.N -: Street Of Drinkards,Maikhana)
Mujhko Bigdaa Karaar Dete Hain
Unse Kehdo Ki Wo Sudhar Jaayen
Na Sanam Dekh Iltifaatan Hume
Hum Teri Aarzu Na Kar Jaayen
(Iltifaatan-–wid Sympathy -Â… Kindness)
Aankhon Mein Sehra Basa Rakha Hai‚  (Sehra– Desert)
Ab Ye Mumkin Nahi Ke Bhar Jaayen
Na Sanam Itne Sitam Ker Humpe
Hum Tere Naam Hi Se Dar Jaayen
Dewaar-O-Dar Humko Yaad Karte Hain
Sochte Hain Ki Aaj Ghar Jaayen
Zindgi Se Tang Aa Gaye Hain -Ë—karan-‘
Marz Kuch Aisa Lage Marr Jaayen