Main Phool Hun Mujhe Tum Phool Ki Tarah Rehne Do
Mujhe Apni Baat Khushboo Ki Zubaan Mein Kehne Do
Mana Ke Kuch Roz Mein Murjha Kar Bhikar Jaunga
Magar Tab Talak To Mujhe Apni Shaakh Pe Rehne Do
Main Kaaton Mein Pala Hun Phir Bhi Hasta Raha Hun
Mujhe Zulf Mein Na Bandho Mujhe Kaaton Mein Rehne Do
Main Chaman Ki Hun Zinat Aur Gulchin Ki Bhi Hasrat
Mujhe Kiski Hai Tamanna Yeh Raaz Parde Me Rehne Do
Mujhe Sar Par Na Chadaao Na Mujhe Qadmon Pe Dalo
Main Apni Jaga Behtar Hun Mujhe Apni Jaga Rehne Do