Maa Teri Duniyaa Mein Kayii Bachey,
Bhookey Pyaase Roytey-Roytey Sotein Hain
Kayi Ghum Dil Mein Aankhon Mein Aansu,
Badan Per Phatte Kapdey Hote Hain

Astey Huiye Chehre Phir Bhi Inke,
Kayii Ghum Hassi Ke Peeche Hote Hain
Bachpan Inkaa Beeta Nahii,
Kayii Bojh Kandho Per Liye Dhotein Hain
Maa Naam Tera Lekar Ye Bache Bheekh,
Sadak Par Maang Rahe Hote Hain
Ho Koi Besharam Jo De Jaaye Bheekh Inko,
Warnaa Maa Sab Izzat Waale Hote Hain
Wo Bache Khushnaseeb Hote Hain,
Jinkey Aarmaan Zubaan Per Hone Se Pehle Poore Hote Hain,
Ye Bache Badnaseeb Hote Hain Jo Do Waqt Ki Rotii Ke Liye Roytein Hain