Maa Dharrti Ka Swarrg Hai,
Maa Tyaag Ki Devi Hai,
Maa Mamtaa Ki Gangotri Hai,
Maa Shabd Mein Mahakavya Chupa Hota Hai,
Maa Ka Arth Mamta Ki Mulyawan Muratt Hai,
Maa Ka Maan Behte Jharne Jaisa Hota Hai,
Maa Ka Matlab Himalaya Parwat Ki Chaya Hai,
Maa Ka Doosra Naam Chandan Hai,
Maa Ke Bina Trilokpati Bhi Bhikhari Hai,
Maa Bachon Ki Pehli Guru Hoti Hai,
Maa Phoolon Se Lade Wriksha Ki Chawn Hoti Hai,
Maa Ka Mahatwa Unse Poochiye Jinki Maa Nahi Hoti Hai,
Bhagwan Ka Har Prani Ke Ghar Aana Sambhaw Nahi Tha,
Issliye Unnhone Maa Banayi,
Woh Maa Hi Hai Gulab,Jisska Koi Nahi Hai Jawab,
Maa Roopi Kumhar,Bachon Ka Jeevan Sundar Surahi,
Ke Samaan Banati Hai,
Maa Ka Arth Hai Sanskar-Sumano Ki Pathshala,
Maa Ki Mahima Likhne Ke Liye Samundar Ki Syahi,
Aur Wriksha Ki Kalam,
Aur Gagan Ke Aakar Ka Kagaz Bhi Adhura Hai,
Maa Shabad Ka To Uhharan Hi Madhur Sangeet Hai.