Log Poochtay Hain Umar Udaas Kyon Hay
Kyon Rehta Hay Woh Pareshan Aaj Kal
Na Milta Hay Na Baat Kerta Hay
Rehtay Hain Sub Hairan Aaj Kal
Logon Ko Kaho Keh Apna Kaam Karain
Karobar-E-Dunya Main Subha Shaam Karain
Umar Apnay Hi Haal Main Khush Hay
Adhooray Khwaabon Kay Jaal Main Khush Hay
Kisi Ko Bhi Apana Haal Bataon Kyon Main
Ishq-E-Behaal Ki Dastaan Sunaon Kyon Main
Log Sunain Gay, Hansay Gay, Bolain Gay
Aik Aur Dastaan-E-Naakaamiye-Muhabbat Kahain Gay
Yehi Kaam Dunya Main Log Kertay Hain
Dosron Kay Haal Per Hanstay Hain
Chand Jhootay Bol Keh Ker
Apnay Apnay Ghar Ko Nikaltay Hain
Kisi Ko Bhi Apana Haal Bataon Kyon Main
Ishq-E-Behaal Ki Dastaan Sunaon Kyon Main