Lahero.N Se Darne Walo Ki Naiyaa Paar Kabhii Nahi.N Hoti
Himmat Se Ladne Walo Kii Bhaiyaa Haar Kabhii Nahi.N Hoti
Gar Dhoo.Ndhte Ho Swarg Zami.N Pe, Ja Ke Milo Aise Aashiya.N Se
Jaha.N Rahenewaloke Bichme, Dil Ki Diwar Kabhii Nahi.N Hoti
Chaahe Keetna Bhi Tole Us Ko, Hum Daulat Ke Taraazu Mei.N
Hame Janm Denewaloki Qeemat Mere Yaar Kabhii Nahi.N Hoti
Vo Chahat Hi Kaisi, Vo Yari Hi Kaisi, Jo Duniya Ki Bato Se Toot Jaye
Sachche Chaahnewalo Ki Chaahat Me Daraar Kabhii Nahi.N Hoti
Hai Ishq Kaa Ye Maidan – E – Jung, Hai Ye Sab Se Alag Saahil
Jung Me Haarne Waalo Ki Jeesme Haar Kabhii Nahi.N Hoti