Kya Kiya Jaaye
Jab Samvedana Shunya Ho Jaye
Jab Diya Andhera Bikhere
Ujala Nazar Na Aaye
Samajh Samaj Na Rahe
Her Koshish Vifal Lage
Kya Kiya Jaaye
Jab Samvedana Shunya Ho Jaye
Jab Sawal Man Mein Aaye
Jawab Se Jee Ghabraye
Jab Cheekh Sunai Na De
Sannata Shor Machaye
Kya Kiya Jaye
Jab Samvedana Shunya Ho Jaye
Bolne Ki Koshish Mein Gala Sukh Jaye
Likhne Ki Gaflat Mein Kalam Tut Jaye
Suryodaya Ki Talash Mein Suryast Ho Jaye