Kudrat Ne Na Jaane Kyon Ek Ko Maikada Tamaam Diya
To Kissi Aur Ke Haanthon Main Bas Ek Khaali Jaam Diya
Baat Kuch Khaas Nahin Ki Khizaan Ne Kayi Zulm Dhaaye
Fasl E Bahaar Ne Bhi Muskuraa Kar Mujhe Zukaam Diya
Bhuul Kar Waajibaat Ko Apne Meine Mohabbat Nibhaayi
Na Puuchiye Mehbooba Ne Wafaaon Ko Kya Inaam Diya
Mann Main Saji Thi Yaad E Mehboob Badi Hi Hifaazat Se
Dil Ko Manaa Ke Har Ek Yaad Mitane Ka Usse Kaam Diya
Koyi Karz Baaki Na Raha Mere Umr Daraazi Ka, Zindagi…!
Moti Bikhraa Kar Ankhon Ne Tumhein Dugnaa Daam Diya
Ahad O Paimaan Ke Daaman Thaam Ke Jeena Hai Mushkil
Zehn Main Yaha Baat Aayi To Khud Ko Meine Ilzaam Diya
Jahan Se Mere Fanaa Hone Ki Khabar Kal Mile Ya Na Mile
Meri Shayri Ne Aaj Bhi Mere Zinda Hone Ka Payaam Diya
Bhuule Se Bhi Na Pukaregi Tujhe Jaanu Kehkar -Ë—amanush-‘
Sunaa Hai Apne Naye Mehboob Ko Uss Ne Yahi Naam Diya