Kuchh Log Jo Bhale Se Hain
Zamane Kii Nazar Un Tak Nahi Jati
Koyi Dekhta Nahii Unko Kabhi
Unki Sadgi Nazar Nahii Aati
Par Too Sab Kee Aankho Ke
Pani Main Rahata Hain
Sari Duniya Bachhon See Dekhti Hain Tujhe
To Kagaz Kee Naav Ban Ke Bahata Hain
Iss Naav Par Bahut Se Alfaz Likhe Gaye Hain
Bahut Se Log Is Nav Se Pyaar Karte Hain
Too Sochata Hai Koyee Likhta Nahii Tujhe
Ye Kya Kam Hai ,Log Teri Kavita K Sang Bahte Hain
Kal Iss Kagaz Kii Nav Se Badi Kashti Tujhe Hona Hoga
Jab Laharen Sab Kuch Bahane Ayengee
Hamare Liye Isi Kashti Main Koyee Kona Hoga
Ham Jab Thak Jayenge Likhte Likhte
Hamari Kalam Ka Bojh Tujhe Dhona Hoga
Kal Is Kagaz Ki Nav Se Bari Kashti Tujhe Hona Hoga
Hamare Liye Kashti Main Tu Sapano Ki Tarah
Hamari Ankh Ke Pani Main Rahega
Tu Dharkano Ki Likhi Kahani Main Rahega
Tujh Se Rishta Wo Bana Hai ,Jo Toot Nahi Sakta
Fir Mile Na Tu Dobara Hume
Itna Zayada Tu Hamse Rooth Nahi Sakta
Tujh Se Rishta Sa Bana Hai Bina Naam Ka Koyee
Woh Rishta Koyee Chahe Bhi To Toot Nahi Sakta
Ye Rishta Jo Dil Se Juda Hai Kitna Pyara Hai
Bahi Mera Sabse Nirala Sabka Dulara Hai
Massom Dil Se Par Vayaktitv Vishal Hai
Soch Hai Ghari Muskaan Kamal Hai
Dua Ki Tum Hanso Hamesha
Is Gulistan Mai Phool Banker Khilo Hamesha
Mahaka Mahaka Sa Ye Sama Rahta Hai
Jab Tu Mujhe Pyar Se Dd Kahta Hai