Kuch Ulajhne Lage The Is Tarah
Ke Bas Uljhe Hi Nazar Aate The,
Ye Mohobbat Karke Ey Dil
Kabhi Chein Se Na So Paate The,
Nazdikiyon Me Bhi Tadapte
Dooriyon Me Pareshaan Ho Jaate,
Ye Jalan, Dard Or Tangdili, Bas
Inhi Me Ulajh Ke Reh Jaate The,
Chahat Bhi Eisi Ke Bas
Dard-O-Gam Ka Fasana Banti Gai
Na Kabhi Inkaar Kiya Usne
Na Intzaar Karne Ko Keh Gai,
Mohobaat Or Dard Ka Ye Rishta
Is Dil Ko Raas Na Aaya,
Ye Mast Mizaaz Chaand Wapas
Apni Duniya Me Chala Aaya,
Maana Ab Koi Intzaar Nahi
Par Ab Wo Bekaraar Bhi Nahi Rehta,
Tauba Karli Eisi Mohobbat Se Ey Dil
Jahan Khud Par Bhi Ikhtiyaar Nahi Rehta