Koi Talib Sa Bhi Khaana-Kharaab Paaya Hai?
Sarr-A-Pa Jisne Wafa Se Azaab Paaya Hai
Teri Aakhen Mujhe Kuch Bolne Nahi Deti,
Nihan Sawaalon Ka Inse Jawaab Paaya Hai.
Ujaala Paaya Hai Subha Ne Jabeen Se Teri,
Teri Hi Zulf Se Shab Ne Shabaab Paaya Hai.
Kitab-E-Dil Mein Rakhoge Ye Soch Kar Jo Diya,
Tah-E-Gard Aaj Dabaa Woh Gulaab Paaya Hai.
Sare Bazaar Chikhkar Kahuun Tu Meri Hai,
Deewanepan Se Khud Ko Faez-Yaab Paaya Hai.
Malaal-E-Rozi Se Din Bhar Sisak Rahaa Tha Mein
Sanam Ka Ghum Guroob-E-Aaftaab Paaya Hai.
Safar Hayaat Ka Aur Peeche Mud Ke Dekha Tau,
Najaane Kaise Khud Ko Kaamyaab Paaya Hai