Kiraya Makaan Ka Ada Karne Jaoun
Ke Bazaz-O-Khyaat Ka Bil Chukaoun
Dava Laoun Ya Daktar Ko Bulaoun
Ke Main Tax Walon Se Peecha Chudaoun
Khudara Batao Kahan Bhag Jaoun
Main Is Ded Ane Mein Kya Kya Banaoun
Bahut Badh Gaya Hai Makan Ka Kiraya
Idhar Nal Ke Ab-E-Ravan Ka Kiraya
Baqaya Hai “Barq-E-Tapan” Ka Kiraya
Zameen Par Hai Ab Asman Ka Kiraya
Muzalim Kirayo Ke Kya Kya Sunaoun
Main Is Ded Ane Mein Kya Kya Banaoun
Hai Bachchon Ki Fees Aur Chanda Zaroori
Kitab Kapiyon Ka Pulanda Zaroori
Shikam Parvari Ka Hai Dhanda Zaroori
Ye Adam Ki Eejad Banda Zaroori
Bala Ke Musarif Hain Kya Tab Laoun
Main Is Ded Ane Mein Kya Kya Banaoun
Azeezon Ki Imdad Mahman Navazi
Gharibon Ko Khairat Ahsan Tarazi
Khurak Aur Poshak Mein Dunya Sazi
Udhar Film Ka Shauq Aur Ishq Bazi
Zaroori Yahan Sigrat Aur Pan Bhi Hai
Adalat Mein Jane Ka Imkan Bhi Hai
Hai Bhangi Bhi Dhobi Bhi Darban Bhi Hai!
Aur Ik Sadi Vale Ki Dookan Bhi Hai
Kahan Jaoun Kis Kis Se Peecha Chudaoun
Main Is Ded Ane Mein Kya Kya Banaoun
Hain Mele Bhi Aur Tyohar Bhi Hain
Ham Aise Muaqqe Pe Khuddar Bhi Hain
Bahut Kharch Karne Ko Tayyar Bhi Hain
Bala Se Jo Be-Barg-O-Bebar Bhi Hain
Kise Dastan-E-Musarif Sunaoun
Main Is Ded Ane Mein Kya Kya Banaoun