Khuda Ne Bhi Araam Kiya Tha Fitrat-E-Qudrat Karte Karte
Ek Woh Hai Jo Na Thake Ab Tak Mere Saath Khelte Khelte
Goum Houe Oujaale Mere Saaye Ko Mohabbat Dete Dete
Mere Aftaab Ne Aahein Bharaa Kahin Tanha Dhalte Dhalte
Bezaar Hona Hi Tha Ounko Mere Zulm Sitam Sehte Sehte
Routh Ke Judaayi De Gayi Wo Hum Ko Alvida Kehte Kehte
Oun Ko Jaana Ganwara Na Tha Khaali Haanth Malte Malte
Seena Cheer Kar Jigar-E-Aashik Le Gaye Woh Jaate Jaate
Raham Kar Iss Peir Pe Jisse Kuchal Rahi Ho Hanste Hanste
Kabr Tak Jaa Pahuncha Mera Dousra Paaon Chalte Chalte
Maaloum Hai, Muskaayegi Wo Mere Kalaam Padte Padte
Wo Kya Jaane Bheege Mere Nayan Haal-E-Dil Likhte Likhte
Nasamajh Ansoo Ye Sawaal Karte Hein Aksar Behte Behte
Teri Douniya Ye Kaisi Oujad Gayi -Ë—mushkil-‘ Dekhte Dekhte