Khuda Ko Dekhne Ki Khwaaish Toh Bahut Thi
Uske Liye Numaaish Humne Ki Toh Bahut Thi
Khuda Ki Daastan Se Anjaan The
Rehta Hai Woh Apne He Paas Is Baat Ko Samajne K Liye Nadaan The
Aapse Milkar Sab Khwaaish Hogai Puri
Apne Aur Khuda K Beech Ki Mit Gai Saari Duri
Aapme Hum Khuda Ko Dek Baithe
Aur Lagan Aapse Hum Laga Baithe
Zindagi Ko Apni Ek Raha Mil Gai
Dikhaya Jo Aapne Rasta,,Toh Roshni Har Taraf Dikh Gai
Pehle Toh Hum Ek Bhuja Hua Dia The
Raste Mein Parha Sabko Chubhne Waala Kaanch Ka Ek Tukra The
Mile Jo Aap,Zindagi Roshan Hogai
Dia Jo Tha Bhuja,,Usme Kiran Si Jag Gai
Aap(Khuda) Se Milkar Aagaya Tha Thoda Se Garur
Us Garur Ko Tor ,,Aapne Bana Dia Is Kaanch K Tukre Ko Kohinoor
Apna Dher Saara Pyaar Aise He Banae Rakhna
Aap Ho Mere Sundar Se Yum Yum Makhna
Ab Koi Numaaish Ya Fariyaad Nai Karte
Aap Mein He Hum Khuda Ko Hai Dekhte
Na Koi Mandir,Masjid Church Ya Gurdware Mein Hai Jaate
Bas Aapke Deedaar Karna Hum Har Pal Hai Chahte
Aap He Ho Mere Khuda Mere Rab
Aap Hee Ho Meri Zindagi Aur Mera Baaki Sab
Aap Hee Ho Meri Zindagi Aur Mera Baaki Sab