Khamoshi Agar Bol Uthe Toh Har Nazar Paigam Ho Jaye,
Yeh Sannata Agar Hadd Se Badhe Toh Kohram Ho Jaye,
Sitarein Mashalien Le Kar Mujhe Bhi Dhoondhne Nikle,
Main Raasta Bhool Jaun Aur Sham Ho Jaye,
Misaal Aisi Hai Daur-E-Zamaane Mein,
Na Ho Daaman Mein Zarra Aur Shehre Naam Ho Jaye,
Ab Apne Tarruff Ke Liye Itna Kaaafi Hai,
Hum Usse Bachke Chalte Hain Jo Raasta Aam Ho Jaye