Khaar Khaar Zindagi The, Gul Na The Hamare Naseeb
Tarse Thhe Barson Baras, Tau Besaakhtaa Gunaah Kar Diya
Badhati Jaati Thee Zindagi, Dayaar-E-Fanaa Kee Jaanib
Lab-E-Tashna, Deeda-E-Tar Ko Humne Suu-E-Dasht Kar Diya
Bhool Gaye Ham Maazi Ke Gham, Jab Wo Ho Liye Hamaare Sang
Wo Aaye To Kaanton Ko Chun Liya, Chaman-Zaar Hamare Naam Kiya
Murdah-E-Jism Mein Khoon Ravaan, Aankhon Ko Raushan Kar Diya
Khila Kar Ke Dil Ka Gul, Humko Madhosh Bus Kar Diya
Chand Raat De Gayii Hai Suroor-E-Tap-E-Gham
Chashm-E-Yaar Kee Chaahat Ne Dewaana Kar Diya
Mausam Kee Berukhi Ne Yoon Dil-E-Kastaa Kar Diya
Baarish Ki Har Ik Boond Ne Juu-E-Dard Ravaan Kar Diya
Hai Eteraaf Ki Nahin Munasib Milan Apna
Phir Zaahir Kyon Zakhm-E-Tamanna Kar Diya
Tadapte Armaanon Ne Kyon Ashkbaar Kar Diya
Marhoom-E-Dil Ko Humne Kyun Be-Kafan Kar Diya
In Sulagate Armaanon Ka Ab Kya Karein
Is Nakhat-E-Zulf-E-Pareshaan Ka Ab Kya Karein
In Sard Huyi Dharkanon Ka Ab Kya Karein
Teri In Dafaatan Aayi Yadon Ka Ab Kya Karein