Ker Dikhaye Hain Woh Hum Ne Aaj Sardaron Ke Kaam
Dekh To Lain Aap Bhi Apne Vafadaron Ke Kaam
Aap Ne Bhi Aazma Ker Ham Ko Dekha He Hazoor
Khote Sikon Ki Tarah Aaye Na Bazaron Ke Kaam
Meri Nazron Main Teri Moohn Bolti Tasweer He
Zindagi Dena Buton Ko Hain Yeh Fankaron Ke Kaam
Kehat Saali Jor-O-Ghurbat Muflisi Bachargi
Ho Nahein Saktey Kabhi Yeh Apni Serkaron Ke Kaam
Doosron Ko Roshani Deta Rahoon Ga Hasher Tak
Roshani Dena Hoova Kerte Hain Mahpaaron Ke Kaam
Gham Ki Wadi Teera-O-Tareek He Suhail Mager
Wadiye Gham Se Guzarna He Yeh Gham Kharon Ke Kaam