Kaun Kahata Hai K Maut Aai To Mar Jaaunga
Main To Dariyaa Hoon Samandar Mein Utar Jaaungaa
Tera Dar Chhorr K Main Aur Kidhar Jaaungaa
Ghar Mein Ghir Jaaunga Sahra Mein Bikhar Jaaungaa
Tere Pahlu Se Jo Uthunga To Mushkil Ye Hai
Sirf Ik Shakhs Ko Paaunga Jidhar Jaaungaa
Ab Tere Shahar Mein Aaunga Musafir Ki Tarah
Saaya-E-Abr Ki Maanind Guzar Jaaungaa
Tera Paimaan-E-Vafa Raah Ki Divaar Bana
Varna Socha Tha K Jab Chaahunga Mar Jaaun Gaa
Chara-Saazon Se Alag Hai Mera Mayaar K Main
Zakhm Khaunga To Kuch Aur Sanvar Jaaun Gaa
Ab To Khursheed Ko Duube Hue Sadiyaan Guzreen
Ab Use Dhundhne Main Ta-Ba-Sahar Jaaungaa
Zindagi Shamma Ki Maanind Jalata Huun ‘Nadeem’
Bujh To Jaaunga Magar Subah To Kar Jaaungaa