Kai Mod Hain Dikhaye Is Zindgi Ne
Kaun Apne Hain Kaun Paraye Ye Bataye Zindgi Ne
Gamo Ke Daur Se Gujar Kar Jab Ham Bikhar Rahe The
Raahon Mei Fir Umeed Ke Ful Mehkaaye Zindgi Ne
Ham To Kar Chuke The Dafn Har Apne Adhure Khwaab Ko
Manzil Ko Paane Ki Hasrat Fir Dil Mei Jagayi Zindgi Ne
Saahil Se Takra Kar Jis Tarah Lehar Mil Jaati Hai Saagar Mei
Us Tarah Mujhe Zindgi Se Milaya Fir Zindgi Ne
“Bhawna” Ko Naaz Tha Apni Mohobbat Par, Par Wo Sirf Waham Nikla
Na Tut Kar Bikhar Jaaon Fir Kuch Aap Jaise Doston Se Milaya Zindgi Ne