Kahne Lage Sharaabi Jo Bekhudi Me Choor Hain
Is Dour-E-Jindagi Me Ye Kaisa Mukam Aaya
Touba Kai Baar Kee Fir Tera Khayal Aaya
Din Dhala Shaam Hui Haathon Me Jam Aaya..
Dour-E-Mufalisi Bhi Badi Sogwar Guzri
Jise Thokron Me Rakha Wo Patthar Hi Kaam Aaya
Apni Samajh Pe Ab Mai Hairaan Ho Raha Hun
Fahrist-E-Dushmano Me Yaaron Ka Naam Aaya
Taklifen Uthai Dar-Badar Bhi Bhatka
Insaniyat Ka Rasta Kisko Hai Raas Aaya
Jhooth Kaha Dhokhe Diye Duniyadari Nibhai
Tumne Jo Sikhaya Wo Hunar Hi Kaam Aaya
Ta Jindagi Tarsa Kiye Jinki Nazar Ke Liye
Ab Khak Ho Chuke Aur Unka Salam Aaya
Bakhabr Anjam Se Tha Fir Bhi Gaya Aagosh Me
Lo Fir Se Is Shama Pe Parwana Kaam Aaya
Likhne Ke Karobaar Se Touba Hazar Ki
Ban Gai Khudbkhud Gazal Jo Samne Tera Kalaam Aaya
Baarishon Ka Mousam Wo Roothna-Manana
Lo Aaj Fir Yaad Wo Kissa Tamam Aaya
Dour-E-Jindagi Me Ye Kaisa Mukam Aaya
Din Dhala Sham Hui Haathon Me Jaam Aya