Kagaz Per Nazar Aati Hai Ye Siskiyan Kis Ki
Koun Sa Hai Derd Wo Jo Ird Gird Rehta Hai
Ye Shabd Lete Hai Talashi Kis Ki Aahat Ki
Ki Koun Hai Lafzo Me Jo Yu Khamosh Rehat Hai
Ek Kachchi Khawaish Hai Justaju Ki Kaid Me
Ki Zubaan Per Koi Adhpaka Sa Sawaal Rehta Hai
Kerte Hai Aansu Guftagu Lafzo Ke Nukhto Se
Ki Koun Hai Jo Boond Me Ye Samaya Rehta Hai
Udhde Pade Hai Lafz Kai Khud Tees Se Apni
Phir Koun Hai Jo Charcha Ye Sar-E-Aam Karta Hai
Deti Nahi Mohlat Yaha Jeene Ko Zindagi
Phir Koun Hai Jo Surat Badal Ker Nayi Shakal Leta Hai