Kadakti Dhup Se Jaise Zameen Tapti Hai,
Tujhse Dur Rehkar Waise Hi Mera Dil Tadapta Hai
Kabhi Tou Mausam Badlega ,Kabhi Tou Barsaat Hogi,
Kabhi Tou Aayegi Woh Din, Jab Tujhse Mulaqat Hogi.

Pal Pal Us Lamhe Ka Intezaar Mera Dil Karta Hai,
Ke Khoya Rehta Hai Ye, Khudse Baatein Karta Hai ,
Nazre Bichaaye Rahon Mein Hain Ye Palken Meri,
Jaldi Haten Ye Gum Ke Badal Ye Duayein Karta Hai.
Barish Ke Aane Ka Jaise Baharon Ko Intezaar Hota Hai,
Waise Hi Dil Ko Tujhse Milne Ka Aitbaar Hota Hai,
Ke Jab Aayega Tu Tou, Tujh Mein Kho Jaungi Main,
Teri Hi Arzoo Mein Dil Khoya Khoya Rehta Hai.
Intezaar Ke Pal Hain Lambe, Par Kabhi Tou Khatam Honge,
Ke Milkar Ek Dusre Hum ,Phir Na Kabhi Juda Honge,
Ye Raat Bhi Bit Jayegi, Savera Zaroor Hoga,
Jab Badlegi Kismat Meri, Tujhse Milna Hoga