Kabhi Kitaabon Mein Phool Rakhnaa
Kabhi Darakhton Pe Naam Likhnaa
Hamein Bhi Hai Yaad Aaj Tak Wo
Nazar Se Harf-E-Salaam Likhnaa
Wo Chaand Chehre Wo Behki Baatein
Sulagte Din The Mehakti Raatein
Wo Chote-Chote Se Kaghazon Par
Muhabbaton Ke Payaam Likhnaa
Gulaab Chehron Se Dil Lagaanaa
Wo Chupke Chupke Nazar Milaanaa
Wo Aarzooun Ke Khawaab Bunnaa
Wo Qissaa-E-Naatamaam Likhnaa
Mere Nagar Ki Haseen Fazaao
Kahin Jo Un Ke Nishaan Paao
To Poochnaa Ye Kahaan Base Ho
Kahaan Hain Un Kaa Qayaam Likhnaa
Gai Ruton Mein “Hassan” Hamaaraa
Bas Ek Hi To Ye Mashghalaa Thaa
Kisi Ke Chehre Ko Subah Kehnaa
Kisi Ki Zulfon Ko Shaam Likhnaa