Kabhi Is Tarah Jhaar-Jhaar Hum Na Roye They
Jabki Humne Kitne Hi Laal Watan Ke Khoye They
Tab Aankhon Main Umeed Ki Ek Lakeer Bakhi Thi
Tab Bhi Itne Udaas Kabhi Na Huwe They..
Khud Aitbhari Ka Yeh Manzar Itna Bhayanak Na Tha
Kuch Pane Ki Chahat Thi Toh Khone Ka Jhosh
Aaj Agar Phir Aa Jaye Mudkar Bhagat, Subhash,
Apne Maqsad Ka Anjaam Dekh Kho De Apne Hosh
Apne Mate Per Haat Markar Dekh Rahe Hai Hum,
Aaj Wahi Toh Katne Honge Jo Kal Humne Hi Bhoye They..
Shaheedon Ke Khoon Ke Saat Khoob Humne Wafa Ki Hai
Inke Liye Unka Bhaha Usii Ka Khoon Bahakar
Ve Toh Nahaye Honge Dushmanon Ke Barood Main, Lekin,
Hum Paak Ho Rahe Hai Watan Ke Hi Khoon Main Nahakar..
Dharam Ke Prati Durbhavna Aaj Jo Samman Paa Rahi Hai
Sawdhaan Ho Jaye Aacharan Aur Vavhaar Dharam Ki Hi Baat Hai
Dharam Bina Aapko Raah Dikhayegi Kaun Prakash Kiran,
Dharam Ki Avmaanna Kar Samaaj Kar Raha Aatmagaath Hai..
Dharam Ek Swaad Hai Ek Vavhaar Ha Anmol Gyaan Hai
Par Bhaantiyon Main Dooba Samaaj Aaj Asavdhaan Hai
Dharam Ka Aadhar Lekar Hi Toh Samaj Ban Paya Hai
Dharam Ke Bina Asambhav Kisii Rashtra Ka Nirmaan Hai
Jab Pate Hai Aacharan Vevhaar Main Sadha Dharam Ki Apeshatha
Jeevan Ke Kone-Kone Main Sstapith Dharam Anivaryatha
Phir Kyu Bhatkaya Jaa Raha Hai Samaaj Ko Andheron Main
Bhala Kya Hai Ye Naara Aur Dikhawa “Dharam-Nirpeshta”???