Kabhi Dil Mein Teri Yaad Thi Een Aankhon Mei Teri Tasveer Thi
Meri Jindagi Tere Naam Thi Aur Saansein Teri Jaagir Thi
Kabhi Kadam Uth-Te Thei Teri Rahoon Ki Taraf Aur Sajde Thei Sirf Tere Hi Dar Ke Liye
Har Khuli Aankh Ke Khwaabon Mein Basaa Karti Thi Tu Teri Yaadein Huwa Karti Thi Mere Basar Ke Liye

Phir Kyon Tune Mujhe Sile Diye Bewafai Ke Pairon Talei Raund Dali Meri Yeh Duniya
Jalaa Ke Dil Ko Mere Raakh Bhi Rahne Na Di Baaki Koi Baki Nahi Rahne Diya Jahan Mein Mera Nishan
Ab To Bas Ek Lakeer Dhuwan Hai Afshan Koi Siskiyan Leti Hui Chingari
Tanhaayiyon Ke Nazar Ho Gayi Rooh Meri Har Taraf Aag Hai, Bebasi Aur Bezaari
Jalte Huwe Jahan Mein Laut Aaung Waapis Yahan Jhuthlaa Ke Maut Aaunga
Teri Rangeen Raaton Mein Banke Kali Ghataa Mausam-E-Ishk Pe Lahu Barsaaunga
Yeh Mera Waadaa Hai Dil Todne Wale Jab Kahin Mehfil Mein Tera Naam Aayega
Bewafai Ko Teri Log Yaad Rakhein Ki Nahin Ishk Mera, Mera Diwanapan Kaiyon Ko Yaad Aayega
Hazaaron Saal Tak Is Deewane Ki Aah Barpegi Aashik Bhi Mere Naam Ki Kasam Khaayenge
Mohabbat Is Jahan Mein Hain Kai Karne Wale Par Mere Kisse Geeton Mein Sunei Jaayenge