Jo Paani Mein Ho Taghyaani Samundar So Nahi Sakta
Talatum Mein Wajood Apna Kabhi Woh Kho Nahi Sakta
Samandar Ki Tarhan Hi Har Kisi Ka Dil Agar Hota
Zamane Mein Koi Bhi Gharak-E-Toofan Ho Nahi Sakta
Yeh Lehren Lekar Aaye Hain Sabak Taza Hawaon Ka
Zara Socho Mein Inn Ki Yaad Mein Kuch Kho Nahi Sakta
Kisi Ki Bewafai Mein Bahe Aansu Mere Itne
Hua Yeh Dil Bhi Pathar Ka Kabhi Ab Ro Nahi Sakta
Samandar Ka Kinara Aur Nasheeli Raat Ka Manzar
Koi In Ko Bata De Aise Mein Kya Ho Nahi Sakta
Jo Apne Dil Mein Gheron Ke Liye Bhi Pyar Rakhta Ho
Doston‚  Woh Beej Nafrat Ka Kabhi Bo Nahi Sakta