Jo Baar Baar Milegi Tumko Wo Dukh Degi
Khushi Ke Waste Fasla Zaruri Hai
Wo Kya Khushi Jo Ankho Mai Jaam Chalka De
Labo Tak Aayi Hui Roshni Ko Thkura De

Wo Kya Khushi Jo Dipak Bujhane Aayi Ho
Wo K7ya Khushi Jo Ro Ro Kar Kahe Bhadhai Ho
Wo Kya Khushi Jo Sambhale Se Sambhal Sakti Nahi
Dukhi Dilo Ka Muqaddar Badal Sakti Nahi
Khshi To Tab Hai Paisa Bhi Ho Libaas Bhi Ho
Aur Aane Wali Pareshaniyo Ka Pass Bhi Ho
Khushi To Khawaab Mange Gi Aur Bistar Bhi
Tumhare Pass Nahi Loriyo Ka Zewar Bhi
Khushi Ho Had Se Zayda To Dil Dukhati Hai
Ye Esi Door Hai Jo Pal Mai Toot Jati Hai
Jo Toot Jate Hai Rishte Wo Jood Nahi Pate
Bina Paroo Ke Kabootar Bhi Udd Nahi Pate
Kisi Ke Haq Mai Faza Saazgaar Ho To Mile
Khushi Ke Baad Khushi Ka Intizaar Ho To Mile
Ki Iska Bhooj Uthana Har Ek Ke Bas Mai Nahi
Ye Ek Umar Bhar Ka Kissa Hai Ek Baras Ka Nahi
Khushi Bartne Ke Andaaz Bhi Nirale Hai
Jo Jante Hai Unhi Ke Ujale Hain
Jo Baar Baar Milegi Tumhe Dukh Degi
Khushi Ke Waste Ek Fasla Zaruri Hai