Jitni Shidat Se Barhaata Huun Kadam
Waqt Do-Chaar Kadam Peechhe Nikal Jaata Hain,
Wo Jo Pal Bhar Ko Nazar Aata Hai Apna Sabkuchh..
Ekk Hii Pal Mein Kuchh Bhii Nahii Reh Jaata Hain,
Jaane Kya Sochke Yoonhi Aksar
Maine Jakda Huva Hain‚  Mut.Thi Ko,
Wo To Bas Zehen Mein Hii Rehta Hain
Or Haqeekat Me Sab‚  Khaali Sa Nazar Aata Hain,
Mai Us Raat Ke Khawaab Ko Tabse Abtak
Yoonhi , Dil Se Lagaaye Baitha Hoon,
Naa To Wo Raat Phir Se Aati Hain
Or Naa Wo Khawaab Phir Se Aata Hain
Apne Hi Aasmaan Mein Udta Huun
Main To Bas Ekk Patant Kii Kismat Sa,
Mere Chaahne Or Naa Chaahne Kii Koi Baat Nahii
Wo Jidhar Chaahe Mujhe Us Or Ko Le Jaata Hain.
Ye Muk.Kaddar Kahein Us ‘Meen’ Kaa Ya ‘Saagar’ Kaa
Jo Machalti To Hain Samandertere Hii Paani Mein,
Koi Machhuwara Fansa Le Jaata Hain Ekk Din Usko
Or Samandar Yoonhi Bas Dekhta Reh Jaata Hain
Apne Bheetar Ke Andhere Ko Chhupakar Sabse
Kyun Ye Chaand Har Waqt Muskuraata Hain
Itni Jinda-Dili Kii Har Waqt Nazar Aane Ko
Bhale Kuchh Waqt Sahi Wo Poora Hi Simat Jaata Hain